Hawa mein ghulne lagi hai sard mausam ki thandak
Aur har chehre par nazar aane lagi hai deewali ki rangat
Sabhi ghar ke dar-o-deewar ab naye rango mein rangne lage hain
Aur har aangan mein rangoli ke khoobsurat rang sajne lage hain
Guftgu mein hone lagi hai ab tohfon ki baatein
Aur deepon ki jagmagaahat se roshan hone lagi hai raatein
Har aarti mein hoti hai ab Laxmi ji aur Ganesh ji ki pooja
Mithai aur pataakhon ke siva bachchon ko yaad nahi rehta kuch dooja
Iss parv ki gehrai mein chhipi hai burai par achchai kii jeet
Aur praan jaye par vachan na jaye yehi sikhlati hai raghukul reet