Custom Search

Saturday, February 14, 2009

Aahista Se Koi.....

Aahista se koi zindagi mein yun shaamil hone laga hai
woh nazron ki pehli mulakat ke baad ab dil mein utarne laga hai,
Muskurata hua chehra uska ab mere bhi labon par muskurahat dene laga hai
aur har aata hua khyaal uska dil mein ajib si dastak dene laga hai,
Ussey milna khushi aur na milna ab takleef dene laga hai
jaane kya baat hai usmein jo mujhe ussey pyaar hone laga hai.

No comments: