Custom Search

Saturday, March 28, 2009

Woh Kehte The.....

Woh kehte the humse ki hum tumhe be-inteha pyar karte hain
apni har saans ke sath tumhe sham-o-sehar yaad karte hain,
Ek baar tumse milne ki chahat ko dil mein rakhte hain
aur tum khud humein milne ke liye bulao ye tamanna rakhte hain,
Humne bhi apni khwaish ka unse izhaar kar diya
hum bhi unse milna chahte hain ye ikraar kr liya,
Mukarar waqt par woh na aaye bas apna likha ek paigam bhijwa dia ki
hum toh tumse shararat kar rahe the aur tumne ye sab sach samjh liya.

No comments: